
Darood By Ghullam e Sial
1] Darood gunaho ka kafara hai [2] Darood se amal pak hota hai [3] Darood padhne se darajat buland hote hai [4] Darood padhne ke liye ek qirat ajar likha jata jo ke uhud pahad jitna hota hai [5] Darood padhne wale ko pemane bhar bhar ke sawab milta hai [6]Jo shakash darood ko hi apna wazeefa bana leta hai Allah pak us ke duniya aur aakhirat ke kaam apne zime le leta hai [7] Darood padhne ka sawab ghulam azad karne se bhi afzal hai [8] Darood padhne wala har kisam ke haulo se nijat pata hai [9] Waliye do jahan nabi (Salallaho Alehi Wassalam) darood padhne wale ke imaan ki khud gawahi denge [10] Darood padhne wale par Aqa do jahan ki shifa’at wajib hojati hai [11] Darood padhne wale ke liye Allah Ta’ala ki raza aur rehmat likh di jaati hai [12] Allah Ta’ala ke ghazab se aman likh diya jata hai [13] Us ki peshani pe likh diya jata hai ke yeh nifaq se bari hai [14] Likh diya jata hai ke yeh dozakh se bari hai [15] Darood padhne wale ko roz-e-hashar Arsh-e-Ilahi Ke neeche jagah di jayegi [16] Darood padhne wale ki nekiyoun ka pallada wazani hoga [17] Darood padhne wale ke liye jab woh Hoz-e-Kausar par jayega tab khasosi inayat hogi [18] Darood padhne wala qayamat ke din sakhat pyaas se aman mai hoga [19] Woh pul siraat se tezi aur asani se guzar jayega [20] Pul sirat par use noor ata hoga [21] Darood padhne wala maut se pehle apna muqam jannat mai dekh leta hai [22] Darood ki barkat se maal badhta hai [23] Darood padhna ibadat hai [24] Darood padhna Allah Ta’ala ko humare sab amalo se zayada pyara hai [25] Darood pak majliso ki zeenat hai